Hazrat Ali ( Karam Ullah Waj Ho ) K Aqwal
1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
( Hazrat ALI R.A )
———–
2-Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa
banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi
pehlay jaisa nahi ban sakta.’
———–
3-Ager kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do!
Wo Aala zaraf hoa to ap ko aur izat day ga!