Thursday, 09-Jan-2025, 3:41 PM
Haq Islam
Main Sign Up Login
Welcome Guest | RSS
Main » 2013 » February » 22 » Qaul-e-Ali(r.a)
7:06 AM
Qaul-e-Ali(r.a)

Hazrat Ali ( Karam Ullah Waj Ho ) K Aqwal

Rauza-e-Ali(r.a)

1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye”.
( Hazrat ALI R.A )
———–
2-Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’
———–
3-Ager kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do!
Wo Aala zaraf hoa to ap ko aur izat day ga!
aur kam zarf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga!
( Hazrat ALI R.A )
———–
4-Hazrat ALI R.A Ka Farman Hay:-
"Bura Dost Koely Ki Manind Hay”
"Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega”
"Aur Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega”
———–
5-Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi He.
( Hazrat ALI R.A )
Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
Allah Ki
Enayat Hain!.
(Imam Hussain R.A)
———–
———–
7-Hazrat ALI R.A SAYS
TUMHARE 3 DOST HAIN
1 TUMHARA DOST
2 TUMHARAY DOST KA DOST
3 TUMHARAY DUSHMAN KA DUSHMAN
TUMHARAY 3 DUSHMAN HAIN
1 TUMHARA DUSHMAN
2 TUMHARAY DUSHMAN KA DOST
3 TUMHARAY DOST KA DUSHMAN
———–
8-Hazrat ALI R.A ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi
roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k
eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU- WA TAALA ne muaf kar dia
———–
9-Hazrat ALI R.A Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
———–
10-Jub meri DUA kabol ho tu mein khush hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khush hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI R.A )
———–
11-IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI R.A )
———–
12-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho!
Ya phir gharoor se dekh rahe ho!
( Hazrat ALI R.A )
———–
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho!.
[HAZRAT ALI (RA)]
———–
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho!
( Hazrat ALI R.A )
———–
Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke
Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
Hazrat ALI R.A
———–
Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay!
Main Dozakh K Khouf Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai!.
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon…
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai…… ( Hazrat ALI R.A )
———–
Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qharib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qhareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Our Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
———–
Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat ALI R.A )

Yaani Maa aur Baap ka Adab karo!


———–
"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de”( Hazrat ALI R.A )
———–
"2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat ALI R.A )
———–
Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hay.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k aur Qhreeb Ho Jata Hai!.
( Hazrat ALI R.A )
———–
Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Aur agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat ALI R.A )
———–
Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Rooth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI R.A )
———–
"Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta..”
( Hazrat ALI R.A )
———–
4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay!.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho!..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Main Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain….!!!
( Hazrat ALI R.A )
———–
Buraee main kisi ka sath dena Ghatiya pan aur khuda k sath bad diyanti hay!.( Hazrat ALI R.A )
————
kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharoor ka beej bo dain.( Hazrat ALI R.A )
————
"Golden Words”
"Her INSAN ki izzat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai”
( Hazrat ALI R.A )
————
"Ebadat aesi kro jis se tumhari ROOH ko maza aey QYOUN k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi”… .( Hazrat ALI R.A )
————
Barish ka Qtra SeepAur Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
jis ka jaesa Zarf waesi uski Takhliq
( Hazrat ALI R.A )
————
Tum accha karo aur zamana tum ko bura samjhe!
ye tumaray haq main behtar hai
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe!
( Hazrat ALI R.A )
————
Jahan Sadaaqat aur Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat ALI R.A )
————
Bay shak dunya aor akhrat ki misal
aisi ha jasay 1 shaks ki 2 bvian(wives)
hon 1 ko razi karta ha to dosri rooth
jati hai!
HAZRAT ALI(RA)
————
Agr kisi ka ban’na chahtay ho to pori hakeqat se ban jao… warna,apni zaat mn aisi hakeqat peda kr lo k koi hakeqat mien tumhara ban jaye…!
(HAZRAT ALI R.A)
————
naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao gai.(Hazrat Ali KAW)
————
¤(HAZRAT ALI )¤~
"Agr koi tumhara dil dukhaey to naraz na hona Qyoun K Qanoon e Qudrat hay k jis darakht p ziada meetha phal hota hay usay log ziada patthar marte hain!
————
Teen kaam kisi k dil main ap ki izzat barhatay hain!:
1- Salam karna.
2- Kisi ko majlis mein baithne ki jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA.”Yaani Pure Naam se mukhatib karna!
(HAZRAT ALI R.A)
————
HAZRAT ALI (KAW) said
Buray Insaan ki Sohbat se Perhaiz karo kyun kay woh Talwar ki Tarha hey Jo Dekhney mein Khobsorat aur Asar mein Khatarnak hai!.
————
Achi zindagi guzarney ke 2 tareekhay hain!.
¤ Jo pasand hai usay hasil kr lo!
ya Phr
¤ Jo hasil hai usay pasand kr lo!. Yaani Qhina’at ikhtiyar karo!
(HAZRAT ALI R.A)
————
TEEN Insan 3 chezon se mehroom rahenge!
1.Ghussay wala Durust faisly se!
2.Jhoota Izzat se!
3.Jald baaz Kamyabi se!.
(Hazrat Ali R.A)

————
Allah k nazdeek sab say ziada gunah gar cheez jhoot bolnay wali zuban hai!.
(Hazrat Ali RA, Nuzhat ul Majalis, page 510)
————
GULAB KA PHOOL BNO!KYUNKE YEH PHOOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI.”HAZRAT ALI A.S”
————
khush mizaji hamesha khoubsorti ki kami ko poora kar deti hai!,
lekin khoubsorti khush mizaji ki kami ko pura nahi kar sakti!.
(Hazrat ALI) A.S
————
Agr Tum Usy Na Pa Sako Jise Tum Chahte Ho,Tu Usy Zroor Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hai
Qiyun K Chahne Se, Chaahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hai!
HAZRAT ALI (R.Z)
————

Koshish Karo K tum dunia main Raho Dunia Tum me Na rahy Qiyon k kashti jab tak pani main hoti hay taerti hai aur jab pani kashti main aa jata ha to Doob Jati hay!


HAZRAT ALI(Radi Allahu Taala
Anhu) farmate hai
Aqalmand Apne Apko Nicha Karke
Bulandi Hasil Karta Hai. aur Naadaan
Apne Apko Badhakar Zillat Uthata He.
Us Chirag Ki Tarah Bano, Jo Gareeb Ki
Jhonpadi Me Bhi Utni Hi Roshni Deta Hai
Jitni Roshni Ek Baadshah Ke Mahal Me
Deta Hai.
Us Waqt Tak Koi Faisla Na Karo Jab Tak
Tumharre Khoon Ki Gardish Aor Dil Ke
Dharkan Pursakuun Na ho Jaye.
Jisne Tujhe Tere AIB Bataye
Agar Tujhe AQAL Ho To Beshak Usne
Tujh Par EHSAAN Ki INTEHA Kardi.
Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara
Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar
Jao.
Insan Ka Apne Dushman Se INTEQAM
Ka Sab Se Accha Tarika Ye Hai Ki Wo
Apni Khubiyo Me Izafa Kare.
Dushmano Ke Darmiyan Aise Raho Jaise
1 Zaban 32 Daanto Ke Darmiyan Rahti
Hai, Milti Sabse Hai
Dabti Kisi Se Nahi.
Jiska raabta khuda ke saath ho wo
naakaam nahi hota, Naakaam wo
hota hai Jiski umeedein duniya se
waabasta hon.
Jo Shakhs tumhara Ghussa Bardasht
Kar Le. Aur Sabith Qadam Rahe To Wo
Tumhara Sacha Dost Hai.



Views: 13093 | Added by: Masoodi | Tags: beautiful sayings of hazrat ali(r.a, performing ablution, perform Hajj, Sunnah, hijjah, ten days dhul hijjah, Qaul-e-Ali(r.a), muslim community, Zakat | Rating: 2.1/11
Total comments: 2
syedaasmasultana7
 14-Sep-2015
0  
  MASHA ALLAH VERY NICE LINES.....KEEP UP D GOOD WORK BRO.....:-)
Answer Quote


 09-Feb-2014
+1  
  89618
Answer Quote

Only registered users can add comments.
[ Sign Up | Login ]
Search

Site menu

Website existance

Online Chat
500

Fb Status
Haq-Islam

Promote Your Page Too

onlines

Total online: 2
Guests: 2
Users: 0

 
Copyright MyCorp © 2025
Powered by uCoz